Wednesday 23 March 2016

Best Dua Qarz Khawah Tang Na Karain

QARZ KHAWAH TANG NA KARAIN

Aik Shakhs Sarkar E Dojahan (S.A.W.) ki bargah main hazir hua aur arz karne laga ki Ya Rasool Allah (S.A.W) main Rizq ki tangi ki waja say Maqrooz ho chukka hon aur Qarz lene walay peecha nahi chorr rahe main intehai pareshan ho kar Aap (S.A.W.) ki khidmat e aqdas main hazir hua hon. Aap (S.A.W.) muje is pareshani say nijaat ka rasta dikhaiye. Sarkar E Dojahan (S.A.W.) nay farmaya k kya tumhen wo Isme Azam yaad nahi k jisk zariye Allah ko pukarne wala kabhi khali hath nahi lot’ta aur Allah ki zaat khud uska Qarz ada farmatay hain aur us k Ranj o Gham ko door karte hain.

Tarjuma: Aye mere Allah main teri panah chahta hon Ranj O Gham say aur teri panah chahta hon Ajzi aur Susti say aur teri panah mangta hon buzdili aur bukhal say aur teri panah chahta hon Qarz k ghalbay aur logon k dabao say. 

READ%20MORE